طاعونی وباء کے مطالق، چالیس احادیث مبارک

(40 Ahadees Taaoni Waba ke Mutalliq) طاعونی وباء کے مطالق، چالیس احادیث مبارک


Arbaoon Fi Zikr At Taoon

Taooni Waba ke Mutalliq 40 ahadees

40 Hadiths On Plague Pandemic 

Arbaoon Fi Zikr At Taoon

Jaise ke Ummat Janti Hai ke Is saal 2020 me Puri Dunya me Ek Taooni Waba phayl gayi Aur Har taraf darr aur khauf ka mahol bangaya. Har Mulk, Har Tabqa Apni Apni soch aur fikr ke Mutabiq kai dino se Is waba se bachney ki Tabeer, Koshish aur uske Ilaj ki Tahqeeq Kar Raha Hai. Har tarah se western world ka nazariya, Unki Ehtiyaati Tadabeer aur Qawaid ko amal (follow) karne ki koshish ki jarahi hai. Halankey Ye sab Ehtiyati Tadabeer Iske mutalliq Huzoor sallallahu alaihi wa sallam ne 1400 saal pahle hame peshangoi kardin thi. Ummat ka Haal ye hogaya ke wo Ghairo ki taraf Rukh karte hai, jabke Ummat ko chahiye Ye tha ke Sahaba ki tarah Huzoor sallallahu alaihi wa sallam ki taraf mutawajja ho.

ALLAH ki Taufeeq se Mere Dil me Aya ke Mai un ahadees ko Jama karu, Jin me Huzoor sallallahu alaihi wa sallam ne Apni Azmat aur Shaan ko Zahir karte hue Insaniyat aur ummat ke liye Taoon, waba ka zikr kiya. Aur Bataya ke Taoon kya hai !, Iske aaney ki wajah kya hai! Aur Iske aaney par kya karna chahiye !. Zaqeera-E-ahadees me Taoon Aur waba ke mutalliq bahot si ahadees waridh hai, Lekin mainey unme se Inteqaab karke, Is Risaleh me sirf 40 ahadees ko Jama kiya Aur unko Mazmooni Tariqey par Tarteeb ke sath Murattab kiya jo Parhney walo ke liye Asaan, Waazeh aur Jame’h Ho.

ALLAH aur RASOOL sallallahu alaihi wa sallam Meri Is koshish ko Qubool farmaye. Ameen

 

 

Taooni Waba ke Mutalliq 40 ahadees

40 Hadiths On Plague Pandemic 

Download kijiye :

Arbaoon_Fi_Zikr_At-Taoon_by_Akbar_Hussain-Al-Hanafi 

40-ahadees-Taooni-Waba-ke-Mutalliq

40 hadiths on Plague Pandemic

One thought on “(40 Ahadees Taaoni Waba ke Mutalliq) طاعونی وباء کے مطالق، چالیس احادیث مبارک”

Leave a comment